Bismillahir Rahmanir Rahim.
Allahtala nay farmaaya: Ibne Adam kay har amal ka Mutaaeen ajar usi key liye hai sivaae rozay kay, Voh sirf Meray liye hai aur mai hi us ki Jazaa Muqarrar karonga. Roza (gunaahon kay khilaaf) dhaal hai. Jab tum may say koi Rozay say ho to Fahesh Goyee aur Shor va Ghul na kare, Agar usay koi Gaali de ya ussay Ladaae kare to keh dein :
Mai Rozaydaar Hoon (mai aap kay saath nahi ulajhna chahata).
[Sahih Bukhari 1904]